meri pehli poem ..jo maine ek maa ke pyar par likhi ........
Dharti par jab mai aya ,tab maa hi thi mere pass
ek maa ka pyar tha mere pass,ek maa ka dular tha mere pass
mai rota to maa bhi roti
mai hasta to maa bhi hasti
aisa krte krte maa ne apna jivan badal liya
maa-maa krte mai bda hua
maa-maa sunte maa aadheer hui
maa ki godi se nikalkar ek din mai itna bda hua
maa ki anguli pakadkar maine nanhe pairo se chalna sikh liya
nanhe -nanhe pairo se mai ghar mai khoob chala krta
kbhi mai aange kbhi maa peechhe ,sara din khel hua krta
jab maa ne mujhko nam diya ,tab jag ne mujhko pehchan liya
us roj maa ka raja beta ,jag ke liye ek insaan hua
kajal bindi lga kar maa ne pdne ko mujhko bhej diya
pad likh kar raja beta banna,maa ne mujhko ye bata diya
school se jab mai laut ke aya ,maa mujhko pyar se dekh uthi
mera raja beta kehkar ,aanchal me maa ne chhupa liya
apne hatho se khila kar khana
godi me apni sula liya
ek pyari si lori jakar nidiya rani ko bula liya
Dharti par jab mai aya ,tab maa hi thi mere pass
ek maa ka pyar tha mere pass,ek maa ka dular tha mere pass
No comments:
Post a Comment